अंतरजाल की दुनिया और जीवन में मोहित शर्मा 'ज़हन' के बिखरे रत्नों में से कुछ...

Friday, September 19, 2014

बिकाऊ भावनाएँ (2005) - मोहित शर्मा ज़हन

Apna purana email recover kiya to uske drafts dekhe, kai saare drafts mey jaldbaazi mey aese ulte-seedhe pointers likh rakhe hai ki ab yaad bhi nahi ki wo ideas kya the.  Anyways, 9-10 (2005-2006) varsh purani rachna bhi kismat se mil gayi. Mere dost aur critic Karan Virk ka kehna hai ki mai pehle better likhta tha aur aesi rachnayen padhne k baad lagta hai wo sahi kehte hai.  Is kavita ka title drafts mey nahi hai, naa mujhe ab yaad...pasand aaye to share karen, tippani karen aur padh kar iska title bhi batayen. Kuch dosto ko randomly tag kar deta hun taaki sabko dikh jaaye. Aage drafts mey mili aur rachnayen post karunga. Dhanyavaad! 

Street art by artist L7M

Is kavita mai ak majboor bhai apni aandhi bhukhi behan kay liye sangharsh karta hai.....

"Munni, pani sirhane rakha hai, 
chhadi bhi paas rakh di hai,ghar se bahar mat nikalna, 
mai jald khana lekar aaunga.” 

Kuch dair baad- 
“Sir ye hamari company nay ak naya powder launch kiya hai…….” 

“NAHI CHAHIYE” 

“Le lijiye naa sir bahut accha ………..” 

“BOLA NAA NAHI CHAHIYE……….NIKLO YAHA SE.” 

Agle ghar- 

“Sir ye hamari company………………………….” 

“AAGE JAO……….” 

Aaj to shayad uski pariksha thi, 
Jis bhi ghar jaata ,Niraasha hi paata. 
Jab bhi wo thak haar jaata, 
Uski bhuki behan ka chehra, 
Usse yaad aa jaata. 
Aaakhir khaali haath wapas, 
Wo kya mooh lekar jaata. 
Kamzoori aur thakaan, 
Jab haavi honay lagi, 
Tabhi umeed ki, 
Ak kiran jagi. 
Bhatakta wo majboor darbadar, 
Pahuncha ak aalishaan ghar. 

“Sir ye powder……………..” 

“WATCHMAN………..YE SALESMAN AANDAR KAISE GHUS AAYA, 
ISSEY BAHAR NIKALO.” 

“Sir…………Sir……le lijiye na sir, 
bahut acchi quality ka hai………..Sir isskey saath discount bhi hai, 
Sir………le lijiye naa sir…………………Doosra sample free de dunga… 
…………Le lijiye naa sir………sir……ak baar……le lijiye naa sir. 

Uski kisi nay naa suni. 

Footpath par baithkar ronay laga wo bechara, 
Aaj ek bhai iss zalim duniya se haara. 
Soch kar apni aandhi behan ka gham, 
uski aankhe ho gayi nam. 

Tabhi ak aawaz uske kaano mai padi -

“Babu ji…………ye chudiya le lo na Babuji…….., 
bahut bhuki hu, Le lo na ..............Babuji” 

Uss aawaz ko sunkar gaya wo seham, 
Kyoki uske saamne khadi thi uski Behan. 
Aaj shayad rona bhi naa mumkin tha, 
Uski zindagi ka ye sabse bura din tha. 
Iss dukh ko bhi usne piya, 
Apni "Munni" ko seney se laga liya. 

"Tujhe bhuki nahi rakhunga, 
itne gham sahe, 
ak aur seh lunga. 
Ye duniya to kuch degi nahi, 
Aaj mera khoon pekar jee le, 
kal ki kal dekh lunga!"

No comments:

Post a Comment