अंतरजाल की दुनिया और जीवन में मोहित शर्मा 'ज़हन' के बिखरे रत्नों में से कुछ...

Monday, May 27, 2013

Internet Bhoot

 Ek naye FB gropu par ye post daali thi. -
"Bhoot, Aatma kya online...phone ya internet k zariye bhi travel kar sakte hai? Aakhir ye bhi to signals pahunchane k mediums hai..."
Jispar kuch mile jule replies aaye. Uske baad maine ye baaten likhi...
Aap logo ko ek doosra perceptive batata hun...maan lijiye kisi mare bande ka Wikipedia page, memorial website, blog etc...ab uspar uska koi die hard fan roz aata hai, us se judi baaten update karta hai dhoond-dhoond kar to ho sakta hai wo aatma usko internet k through trace karke us se milne ki koshish kare....ya ek ulta case koi kisi mare vyakti ka naam lekar uski jagah jagah burai kare, defame kare, galiyan de tab bhi...internet k zariye travel na sahi par aatma us bande ko aur uski location trace to kar sakti hai....hmmmm?
 Actually, abhi jo socha aur jiski wajah se ye post likhi wo Idea ye hai ki ek high profile political parivaar ki nirmam hatya ho jati hai...to hatya karne waale shooters to pakde jaate hai par jisne shadyantra racha tha uski pehchaan nahi ho paati. Us family ko justice dilvane k liye ek website banti hai to us website k server mey aur unse related jitni bhi online news reports k weblinks par us ghar k logo ki aatmaon ki barabar nazar rehti hai jahan wo apne asli hatyare tak pahunchte hai. 2 log aese hote hai jinhone un logo ki death se related weblinks, sites sabse zyada aur baar-baar visit kiye the....to ek to unki party ka tagda supporter/fan hota hai jo is baat ko maanne ko taiyaar nahi tha...wo innocent hota hai aur jo doosra banda hota hai wo asli villain nikalta hai jo ek financial firm aur private banks ka maalik hota hai jinke lagataar ghaate mey chalne ki wajah se ye parivaar us bande k bailout (aarthik sahayta aur niyamon mey riyayat) k khilaaf tha...

No comments:

Post a Comment