अंतरजाल की दुनिया और जीवन में मोहित शर्मा 'ज़हन' के बिखरे रत्नों में से कुछ...

Sunday, March 10, 2013

A Trendsetter's Tragedy

 Ek cheez note ki hai maine ki koi nayi cheez try karne waale ya unique experiments karne waalo ko critical acclaim to milta hai but success nahi milti balki uske baad waisi hi cheez ko better presentation k saath laane waale log paisa, success aur acclaim le jaate hai. Udahran k liye Zee TV aksar Indian viewers k hisaab se naye concepts aur experimental themes, series lata hai par tab logo ki preference aur acceptance level kum rehta hai par jab tak wo khatm hota hai tab log thoda prefer karte hai wo theme.....aur tab Star, Sony, etc achchhi presentation k saath waisi TV series laate hai aur kahin zyada success, following paate hai......

Ye sirf ek example hai doosre fields mey aesi bahut si misaal mil jaayengi. To agli baar kisi cheez ki dil se taareef karen to uska sahi origin jaan len. Aakhir Trendsetter hona itna aasaan nahi.... -Mohit Trendster ;)
 

No comments:

Post a Comment