अंतरजाल की दुनिया और जीवन में मोहित शर्मा 'ज़हन' के बिखरे रत्नों में से कुछ...

Saturday, October 27, 2012

Badi Dair ho Gayi (2008)

Wrote in year 2008, posted - Orkut, Raj Comics Website & Forums.


 
There is a college going girl Sonia....jo public transport se college jaati hai. Uske college jaate waqt aksar ek ladka Ravi apne dosto kay saath mil kar usse chhedta hai. Kai weeks tak Ravi aur uske dosto dwara teasing ka ye silsila jaari rehta hai. Sonia ab Ravi ki harkato se tanng aa chuki thi par wo sab kuch chup-chap seh rahi thi. Sonia akeli ladki nahi thi jo awara Ravi aur uske gang ki nazro mey thi...balki aksar uske jaisi kuch ladkiyon ko pareshaan karna unke liye manoranjan ka saadhan tha.
 
Kabhi koi ladki Ravi ki harkaton ka virodh kar deti to usko 2-4 thappad maarne kay baad hi Ravi ko santushti milti thi. Uski boli mey virodh karne waali ladkiyon ki pitaai karna "Par-Katiyon ko sabak sikhana" hota tha.

Tabhi ek din Ravi ki behan Rashmi aatmhatya kar leti hai....usne apni suicide ki wajah apne college kay ek ladke Tarun ko bataya tha jo college, raaste mey ....phone se aksar Rashmi ko pareshaan karta tha. Gussey se bhara Ravi apne dosto ko saath lekar kisi tarah Tarun kay ghar ka pata karta hai aur wo uske ghar ka darwaza peet ta hai.....

....Darwaza ghabrai hui Sonia kholti hai jisse Ravi roz chhedta tha. Darasal Sonia Tarun ki behan thi.
......avaak Ravi wahin zameen par baith apna sar pakad kar ronay lagta hai.

The End.

Image - Blank Noise NGO Website 

No comments:

Post a Comment