अंतरजाल की दुनिया और जीवन में मोहित शर्मा 'ज़हन' के बिखरे रत्नों में से कुछ...

Wednesday, June 20, 2012

Enviro Returns (Parmanu)

Originally Posted on Raj Comics Website and Forums (November 2007), Parmanu Wallpaper used here by Mr. Inder Jeet Bhanoo

 

Bhartiye Sarkaar Delhi kay paas kay elako mey kai S.E.Z.,(Special Economic Zones) banane ki apni yogna par amal kar rahi thi aur iss kaaran unn sthano kay jungleo ka safaya ho raha tha.Iss pariyogna ka har jagah bahut viroodh ho raha tha par sarkaar nay vikas ki duhaai dekar iss pariyogna ko jaari rakha.Waise iss pariyogna ko Mantriyo nay paise kay laalach mey bhi jaari rakha tha.Iss pariyogna kay pehle charan mey jungleo ki safaai ka kaam tha jiski shuruat Delta Forest se ki gayi.Par agle din waha gaye nirikshako ko paido ko kaatne kay kaam par lage sabhi logo ki laashe mili.

Baaki jagaho par jungleo ki katai par gaye karmchariyo ka bhi yahi anjaam hua.Inn ghatnao nay uss pariyogna,(Project SEZ), ko beech mey hi rook diya gaya.Par ye to bas shuruat thi......tabahi nay phir apna khel khela aur ab Delhi kay andar chal rahe bade karkhane,Industries, par ajeeb paid paudho nay hamla kar diya.Kuch paido ki jadde aur tehniya badhkar unn karkhano ki imarato ko gira rahi thi jisme dabkar kai begunaah majdoor maare gaye aur jo bach kar bhaagne mey safal huey unko vishele paudho nay apne shikange mey jakadkar kaal ka graas bana diya.

Parmanu ye sab dekhkar samajh chuka tha ki ye sab khud ko paryavaran ka hitashi kehne waala Professor Enviro kar raha hai jiska naam wo Inspector Vinay kay roop mey Police database mey dekh chuka tha.Par Parmanu ko uss se itne bade paimaane par tabahi machane ki umeed nahi thi.Jo karkhaane Delhi aur uske aas-paas insaan kay rehne kay elako se door bane thay unpar bijliya baras rahi thi aur aise kai karkhano par bijliya barasna sanyoog nahi kaha jaa sakta tha.Parmanu ko pata chal gaya ki Professor Enviro paid-paudho se ghatak kaam karvane kay alawa apne aas-paas kay vatavaran ko bhi kaabu mey kar sakta tha.Par iss baar wo bina kisi kay saamne aaye ye sab kar raha tha.

Parmanu rahat karya mey jutt jaata hai aur shehar mey Karkhano ko dwast kar rahe paid paudho ko Parmanu chhallo se jalane ki kosish karta hai par kuch hi seconds mey aise aur paid-paudhe phir se ugg jaate thay aur vinash machna jaari raha.Parmanu nay sabhi karkhano kay har taraf apne Parmanu Blasts ki garmi se zameen ka lagbhag saara paani (moisture) kheench liya aur vinaash machate paid-paudhe sukh gaye aur naye paid uggna bhi bandh ho gaye,jo naye paid paudhe ugge bhi wo itne mazboot nahi thay ki koi tabahi macha sakein.Shehar mey kai karkhano aur unme kaam karne waale majdooro ko bachakar Parmanu Probot ka message paa kar aabaadi se door kay shetro mey lage bache huey karkhano ko bachane nikal pada.Parmanu nay unn karkhano par pahunchkar apni karkhano se satti hui Parmanu rassi se aaskashiye bijliyo ko apni tarah kheenchne kay liye "Taditgiri" bana diya aur saath hi savdhaani kay taur par unn karkhano ko Parmanu Rassi kay jaal se dhakk diya.

Apni iss haar se tilmilaaye Professor Enviro nay Delhi kay beecho-beech bane Nuclear Energy Plant mey chal rahe reactions ko apne paido ki madad se aniyantrit kar diya aur aas-paas Parmanu Vikiran failne laga.Suraksha alarm se sabhi ko pata chal gaya ki Parmanu vikiran faill raha hai.Parmanu ko jald hi ye khabar Probot nay di to Parmanu nay uss jagah se logo ko surakshit sthaan par par pahunchaya aur phir Vikiran ko sambhalne dobara ussi jagah par pahuncha.

Parmanu-Probot,Kya mai iss shetra me faile vikiran ko apni Belt mey samait sakta hun :?:

Probot-Samait to sakte ho par usse zyada dair tak rakh nahi sakte....iske liye ak bhaari container jaisi cheez ki zarurat thi lagbhag 80 Kgs ka.Tumhari belt to kuch grams ki hai.

Parmanu-Waise,mera wajan kitna hai :?:

Probot-Aakhri baar tumhara wajan bahut pehle toola tha,wahi database mey feed hai jo hai 85.5 Kgs.......waise ab tum pehle se mote ho gaye ho.

Parmanu-Thankyou,Probot,Mujhe bas yahi poochna tha......jab mera message mile to mujhe lab mey Transmit kar lena.

Parmanu Transmit hua aur uske shareer kay wajan kay barabar sangathit kanno(Atoms) nay waha faile Parmanu Vikiran ko khud mey samait liya aur phir Probot nay Parmanu ko Lab mey Transmit kar liya.Apni Lab mey uss Vikiran ko parishkrit karna Probot kay liye bahut mamuli kaam tha.

 Ab Professor Enviro samajh chuka tha ki Parmanu ko maare bina uska dharti ko hara-bhara banane ka sapna adhura hi rahega aur ab uska lakshya tha Parmanu ki Maut.

Parmanu ko khabar mili ki shehar kay bahari hisse mey bahut bhaari baarish ho rahi hai aur waha baad ka khatra hai.Parmanu nay apni Parmanu rassi se bane vishal jaalo mey lagbhag sabhi logo ko bachakar surakshit sthaano par pahuncha diya.

Parmanu phir lauta to waha baarish nahi ho rahi thi aur baaki bache log ab surakshit thay.Parmanu ye dekhkar achambhit tha ki tabhi uspar aakash se bijliya girne lagi.Shuruat mey to Parmanu Transmit hokar bach gaya par ab inn hamlo ki raftaar badhti jaa rahi thi.

Parmanu neeche pahuncha to waha usko jakadne kay liye paid-paudho ki jamaat mili.Parmanu ko phir transmit hona pada.Parmanu ki iss haalat par Professor Enviro thahaka lagata hua usse dikhayi diya.

Professor Enviro-Ha Ha Ha.......Parmanu kaha jaayega ab........isse kehte hai dhobi ka kutta naa ghar ka naa ghaat ka.Aur sun.....yaha se bhaagne honay ki kosish mat karna......varna mai bache huey logo ko maar daalunga.

Parmanu ko har baar refrom honay vishele paudhe halki kharoonche de rahe thay aur bijliyo ka darr bhi tha.Parmanu inn sab se bachne kay liye transmit ho raha tha jo baat Professor Enviro ko nagavaar guzar rahi thi. Usne turant hi aas-paas kay mausam ko badalkar usse garm kar diya.

Transmit hue Parmanu kay kanno se bhi moisture jaane laga jis kaaran Parmanu ko reform hona pada.Parmanu par phir paido kay vishele vaar honay lage.Ak paid nay usse jakad liya aur usspar to jaise vishele paid-paudho kay vaaro ki baarsih ho gayi.Parmanu par behoshi chaa rahi thi.Mausam ko phir se badalkar Professor Enviro nay Parmanu ki iss haalat ka faayda utthana chaha.Ak Bijli paid par giri jiska thoda jhhatka Parmanu ko bhi laga.Iss baar to uski dress nay usse bacha liya tha par aise 2-3 jhhatko kay baad uski maut nishchit thi.Parmanu ka shareer shithil pad raha tha aur usne Parmanu chhallo ka ak halka vaar Professor Enviro par kiya par uss vaar ko raaste mey hi ak paid ki daal nay badhkar rook diya.

Ab Parmanu ki maut ya to bijli kay jhhatke se hoti ya zehrile paid-paudho kay vaaro se.Parmanu ka shareer zakhmo ka godaam bana nazar aa raha tha aur Professor Enviro har darshya ko apne pasandida Television Serial ki tarah dekh raha tha.

Probot jaanta tha ki Parmanu ko lab mey transmit karne par Professor Enviro waha maujood aabadi ko khatm kar sakta tha aur Parmanu nay aisi sthitiyo mey Probot ko aisa karne se mana kiya tha.

Parmanu ko jo karna tha wo ab khud hi karna tha.Har jagah Professor Enviro ka jaal tha koi bhi jagah surakshit nahi thi.........ya thi.....Parmanu nay apni poori takkat jutaai.Wo transmit hokar Professor Enviro kay paas pahuncha aur reform hokar apni poori gati se uske charo aur uddne laga.Professor Enviro dwara aas-paas kay elake mey aakashiye bijliya girane banaye gaye toofani vatavaran ka faayda utthate huey Parmanu nay uske chharo taraf ak vishal bavandar bana diya.Jab tak Professor uss vatavaran ko badalta tab tak Parmanu Professor Enviro ko lekar prithvi ki upari sateh tak pahunch chuka tha,jaha ka vatavaran sthai tha aur usse kaabu mey nahi kiya jaa sakta tha.Parmanu uddta raha aur Professor Enviro kay saath antriksh mey pahunch gaya.Parmanu, Professor Enviro ko lekar bharat kay Antriksh Station mey utra.Ab tak Professor Enviro itne jhhatko se aur antriksh mey kuch seconds saans naa mil paane kay kaaran adhmara ho chuka tha aur Parmanu ka ak zordaar ghunsa usse Behosh kar hi chuka tha ki Parmanu nay usse jhanjhorkar samjhaya........

Parmanu-Suno.................yaha tumhare liye jeene bhar ki hawa aur khaana peena hai.......isse kaabu mey karke bhi tum dharti tak nahi pahunch sakte,kuch mahino mey yaha ki maintainace kay liye ISRO(Indian Space Research Organisation) Astronauts bhejti hai,ab wahi tumhe zinda rakhenge.Tumhare vyavhar par har pal nazar rakhi jaayegi.....aur agar tumhare andar vaakai sudhar aaya to tumhe wapas dharti par laane kay baare mey socha jaayega.

Probot-Parmanu.....ab wapas aa jao tumhare badhte wajan ko Professor Enviro nay itne zakhm dekar kuch hi dair mey control kar diya hai.

Parmanu apna asehniye dard bhool gaya aur uske chehre par muskaan khel gayi.

 Parmanu(Profesoor Enviro se)- Pata nahi maine tumhe kyu zinda rakha....itne logo ki jaan lene waale ko zinda nahi hona chahiye......kabhi kabhi meri kasam mujhe bahut kachotti hai.

Ruk....ruko...Parmanu ruk jaao....Mujhe yaha chhodkar tum achcha nahi kar rahe ho.....wo log Bharat ko aur phir saari Duniya ko barbaad kar denge.

Parmanu-Ooh,aur Professor sahab aap ab tak kis prakaar ki samaj seva kar rahe thay ye shayad aapko bhi pata hai aur mujhe bhi.

Professor Enviro-Meri baat suno Parmanu,ab sirf tum hi kuch kar sakte ho.

Project SEZ (Special Economic Zones), kay liye jungleo ka saaf hona,Karkhano ka ambaar lagna....aur bhi bahut kuch,ye sab gairkanooni roop se bade naitao nay paise kay laalach mey kiya hai.Bharat aur Duniya ko bacha lo Parmanu.......maine itne saalo ki mehnat se kai Vakalpiye Urja sansadhono(Alternative Energy Resources) ko viksit kar aur behtar tareke se isteymaal karne par gehan research ki hai aur inn baato par mere bahut se notes meri Lab mai maujood hai.....tum unn Brasht Naitao ko pakadvar unke mansoobo aur Project SEZ ko rook do.Mere wo notes bhi Poore Bharat ko urja kay kai sadhan de sakti hai.Inn sansadhano ko sambhalne kay liye kai rozgaar kay avsar bhi utpaan honge.

Parmanu-Wah,Professor wah....kaash tum ye baat ahinsak dhang se desh kay saamne rakhte.

Professor Enviro-Gandhi ji kay saath hi aise "dhang" bhi swargiye ho gaye.

Parmanu-Tumhari baat mey dum hai aur inn Special Economic Zones ka mai bhi niji roop se viroodhi hun.Tumse vada karta hu ki Bharat ko inn laalchi logo kay haatho bikherne nahi dunga.Jald hi tumhe iss baat ki khabar mil jaayegi.

Parmanu jaanta tha ki Project SEZ kay gopniye dastavezo ko wo ak sadharan Inspector kay roop mey nahi prapt kar sakta tha.Desh kay virruddh ak bade shadiyantra ko vifal karne kay liye Parmanu ko hi gairkanooni roop se unn dastavezo ki pratiya(Copies) leni thi.Parmanu nay chhupkar Rashtiye Abhilekhagaar(National Archives) mey pravesh kar waha se uss project ki deal kay papers ki pratiya prapt kar li.Unn dastavezo kay adyan se saaf pata chal gaya ki Project SEZ mey swikrat kai baatein gair kanooni aur nirdharit suraksha manako kay anuroop nahi thi.Inn dastavezo ki ak partilipiyan Parmanu nay kai News agencies tak bhi pahuncha di aur Agle din Inspector Vinay nay sabhi doshi Mantriyo kay ghar chhapa maarkar unko giraftaar kiya.Bharat kay itihaas mey ak saath itne mantriyo ki giraftaari pehli baar hui thi.

Project SEZ to bandh ho gaya par Vinay ka kaam abhi khatm nahi hua tha,Parmanu kay roop mey usne Professor Enviro urf Sundar kay bataye patey se uske banaye saare notes baramad kar liye thay aur ab Vinay Probot kay saath milkar unka adhyann kar raha tha.Unn beshkimti notes ki badaulat Vinay aur Probot nay saare Bharat ko Urja dene waale ak naye Project ki roorekh tayyar ki jisko unhone naam diya.....Project AER, (Alternative Energy Resources),Probot nay iss Project ko ak vaijyanik kay taur par Bhartiye Sarkar kay saamne rakha jisko jald hi swikrat kar liya gaya aur iske liye Probot ki adhyakshta waali vaijyaniko aur karamchariyo ki ak samiti banayi jiska hissa Vinay bhi tha.

Par Vinay aur Probot kay vyastta to khatm honay ka naam hi nahi le rahi thi..........kabhi Dakshin Bharat mey Sourya Urja ka nirikshan karna to kabhi Bhumigat Urga sansadhano ki khoj mey Poorvi Rajyo ki sair.Par ak naye,sundar aur sudradh Bharat banane ka junoon unhe thakkne nahi de raha tha.

The End!

1 comment: